mujh ko har phuul sunātā thā fasāna terā
tere dāman kī qasam apne garebāñ kī qasam
gūñjtā rahtā thā ik naġhma mire kānoñ meñ
tapish-āhañgī-e-mizrāb-e-rag-e-jāñ kī qasam
iltifāt-e-nigah-e-nāz kā saudā thā kabhī
ḳhatm vo daur huā gardish-e-daurāñ kī qasam
ab na vo dil hai na vo valvala-e-arz-e-niyāz
haath se chhūTe hue gosha-e-dāmāñ kī qasam
mujh ko barbād hī rahne de talāfī se guzar
ishq ehsāñ hai girāñ-bārī-e--ehsāñ kī qasam
adab-āmoz-e-mohabbat hai mohabbat merī
varna khātā tire toḌe hue paimāñ kī qasam
mujh ko har phul sunata tha fasana tera
tere daman ki qasam apne gareban ki qasam
gunjta rahta tha ek naghma mere kanon mein
tapish-ahangi-e-mizrab-e-rag-e-jaan ki qasam
iltifat-e-nigah-e-naz ka sauda tha kabhi
KHatm wo daur hua gardish-e-dauran ki qasam
ab na wo dil hai na wo walwala-e-arz-e-niyaz
hath se chhuTe hue gosha-e-daman ki qasam
mujh ko barbaad hi rahne de talafi se guzar
ishq ehsan hai giran-bari-e--ehsan ki qasam
adab-amoz-e-mohabbat hai mohabbat meri
warna khata tere toDe hue paiman ki qasam
Source:
Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 48)
-
- Edition: 1993
- Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
- Year of Publication: 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.