Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko to ye fareb-e-tamanna dikhai de

Bismillah Adeem

mujhko to ye fareb-e-tamanna dikhai de

Bismillah Adeem

MORE BYBismillah Adeem

    mujh ko to ye fareb-e-tamannā dikhā.ī de

    duniyā tire baġhair tamāsha dikhā.ī de

    kis ko batā.eñ ke zamāne meñ apnā ġham

    har shaḳhs apnī aag meñ jaltā dikhā.ī de

    kal tak jo kah rahā thā añdheroñ ġham na kar

    ab vo bhī raushnī luTerā dikhā.ī de

    insān apnī ziist ke rangīn ḳhvāb se

    rotā dikhā.ī de kabhī hañstā dikhā.ī de

    suulī chaḌhā.iye use mansūr tarah

    jis ke laboñ pe sach ujālā dikhā.ī de

    har dam mahak rahā hai ye tere ḳhayāl se

    dil bhī tire makāñ darīcha dikhā.ī de

    dushman ke paas mujh ko zarā le chalo 'adīm'

    kuchh to mirī hayāt ko rasta dikhā.ī de

    mujh ko to ye fareb-e-tamanna dikhai de

    duniya tere baghair tamasha dikhai de

    kis ko bataen ja ke zamane mein apna gham

    har shaKHs apni aag mein jalta dikhai de

    kal tak jo kah raha tha andheron ka gham na kar

    ab wo bhi raushni ka luTera dikhai de

    insan apni zist ke rangin KHwab se

    rota dikhai de kabhi hansta dikhai de

    suli chaDhaiye use mansur ki tarah

    jis ke labon pe sach ka ujala dikhai de

    har dam mahak raha hai ye tere KHayal se

    dil bhi tere makan ka daricha dikhai de

    dushman ke pas mujh ko zara le chalo 'adim'

    kuchh to meri hayat ko rasta dikhai de

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now