mujh par teri nazron ka jo ehsan nahin hota

Mohammad Usmaan Arif

mujh par teri nazron ka jo ehsan nahin hota

Mohammad Usmaan Arif

MORE BYMohammad Usmaan Arif

  mujh par tirī nazroñ jo ehsāñ nahīñ hotā

  hāthoñ se mire chaak garebāñ nahīñ hotā

  ḳhālī kabhī kāñToñ se gulistāñ nahīñ hotā

  kāñToñ se kabhī phuul pareshāñ nahīñ hotā

  kuchh dard ho kuchh soz ho kuchh nuur ho dil meñ

  bas ḳhaak putlā to insāñ nahīñ hotā

  ai dost samajhtā huuñ tirī pursish-e-ġham ko

  bātoñ se kabhī dard darmāñ nahīñ hotā

  kyuuñ us ko mire chāk-e-garebāñ ḳhabar ho

  gesū bhī kabhī jis pareshāñ nahīñ hotā

  ai barq-e-jahāñ-soz tujhe ye bhī ḳhabar hai

  āshiq nasheman kabhī vīrāñ nahīñ hotā

  har phuul ko dekhūñ ye hai āvārā-nigāhī

  har naqsh meñ to jalva-e-jānāñ nahīñ hotā

  mamnūn-e-karam ek zamāna hai hameñ kyā

  ham par to kabhī aap ehsāñ nahīñ hotā

  khultā hai koī rāz-e-nihāñ dekh chaman meñ

  ġhunchoñ yūñhī chaak garebāñ nahīñ hotā

  phūloñ se bahal jā.ūñ vo dīvāna nahīñ huuñ

  kāñToñ se ulajhne ko to dāmāñ nahīñ hotā

  maujoñ ko banā letā huuñ maiñ apnā safīna

  tūfāñ bhī mire sāmne tūfāñ nahīñ hotā

  maiñ jin pe fidā huuñ vahī jalve haiñ nazar meñ

  ā.īna tujhe dekh ke hairāñ nahīñ hotā

  kis manzil-e-dushvār meñ huuñ ishq 'ārif'

  un se bhī mire dard darmāñ nahīñ hotā

  mujh par teri nazron ka jo ehsan nahin hota

  hathon se mere chaak gareban nahin hota

  KHali kabhi kanTon se gulistan nahin hota

  kanTon se kabhi phul pareshan nahin hota

  kuchh dard ho kuchh soz ho kuchh nur ho dil mein

  bas KHak ka putla hi to insan nahin hota

  ai dost samajhta hun teri pursish-e-gham ko

  baaton se kabhi dard ka darman nahin hota

  kyun us ko mere chaak-e-gareban ki KHabar ho

  gesu bhi kabhi jis ka pareshan nahin hota

  ai barq-e-jahan-soz tujhe ye bhi KHabar hai

  aashiq ka nasheman kabhi viran nahin hota

  har phul ko dekhun ye hai aawara-nigahi

  har naqsh mein to jalwa-e-jaanan nahin hota

  mamnun-e-karam ek zamana hai hamein kya

  hum par to kabhi aap ka ehsan nahin hota

  khulta hai koi raaz-e-nihan dekh chaman mein

  ghunchon ka yunhi chaak gareban nahin hota

  phulon se bahal jaun wo diwana nahin hun

  kanTon se ulajhne ko to daman nahin hota

  maujon ko bana leta hun main apna safina

  tufan bhi mere samne tufan nahin hota

  main jin pe fida hun wahi jalwe hain nazar mein

  aaina tujhe dekh ke hairan nahin hota

  kis manzil-e-dushwar mein hun ishq ki 'arif'

  un se bhi mere dard ka darman nahin hota

  Source
  • Book : Lamhon Ki Dhadkanen (Pg. 38)
  • Author : Mohammad Usmaan Arif
  • Publication : Bedil Academy,Rajisthan (1985)
  • Edition : 1985
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY