Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujh pe TuTi jo siyah-raat batane ki nahin

Yasmeen Sahar

mujh pe TuTi jo siyah-raat batane ki nahin

Yasmeen Sahar

MORE BYYasmeen Sahar

    mujh pe TuuTī jo siyah-rāt batāne nahīñ

    ya.anī ye gardish-e-hālāt batāne nahīñ

    haañ mirā haal bhī bilkul hai tumhāre jaisā

    maan lo baat ki har baat batāne nahīñ

    dil rag rag meñ ghulī jaa.e halāvat jis

    haa.e vo dard sauġhāt batāne nahīñ

    dhuup ke shahr meñ mere bhī ka.ī din guzre

    sar pe barsī thī jo barsāt batāne nahīñ

    zindagī mast thī tab apnī fazāoñ meñ magan

    khelī thī vaqt ne jo ghaat batāne nahīñ

    maiñ kahānī ko na.e lafz-o-ma.ānī dūñgī

    ḳhud pe guzrī huī din-rāt batāne nahīñ

    vaqt ne thī raqam us ghaḌī ik umda misāl

    zindagī thī jo tire saath batāne nahīñ

    jaane anjāne meñ kyā raaz hue haiñ ifshā

    yuuñ khulī mujh pe mirī zaat batāne nahīñ

    zikr meñ lā.ūñ to chhin jaane ḳhadsha hai 'sahar'

    aa.ī jo shai hai mire haath batāne nahīñ

    mujh pe TuTi jo siyah-raat batane ki nahin

    yani ye gardish-e-haalat batane ki nahin

    han mera haal bhi bilkul hai tumhaare jaisa

    man lo baat ki har baat batane ki nahin

    dil ki rag rag mein ghuli jae halawat jis ki

    hae wo dard ki saughat batane ki nahin

    dhup ke shahr mein mere bhi kai din guzre

    sar pe barsi thi jo barsat batane ki nahin

    zindagi mast thi tab apni fazaon mein magan

    kheli thi waqt ne jo ghat batane ki nahin

    main kahani ko nae lafz-o-maani dungi

    KHud pe guzri hui din-raat batane ki nahin

    waqt ne ki thi raqam us ghaDi ek umda misal

    zindagi thi jo tere sath batane ki nahin

    jaane anjaane mein kya raaz hue hain ifsha

    yun khuli mujh pe meri zat batane ki nahin

    zikr mein laun to chhin jaane ka KHadsha hai 'sahar'

    aai jo shai hai mere hath batane ki nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now