mujhe achchha banana chahta hai
mujhe achchhā banānā chāhtā hai
ye kyā mujh se zamāna chāhtā hai
lahū de kar jise zinda kiyā thā
vahī mujh ko miTānā chāhtā hai
jise ham ne sikhā.ī thī siyāsat
vahī ham ko harānā chāhtā hai
usī se ho rahī hai is meñ dhak-dhak
jise ye dil bhulānā chāhtā hai
bharosa hī nahīñ mujh par tabhī to
vo mujh ko āzmānā chāhtā hai
mohabbat tak nahīñ aatī hai jis ko
vo mujh pe haq jatānā chāhtā hai
idhar ham kar chuke haiñ dil ko patthar
udhar vo dil meñ aanā chāhtā hai
ye kyā zid hai batā 'hassām' āḳhir
tū kyoñ ḳhud ko rulānā chāhtā hai
mujhe achchha banana chahta hai
ye kya mujh se zamana chahta hai
lahu de kar jise zinda kiya tha
wahi mujh ko miTana chahta hai
jise hum ne sikhai thi siyasat
wahi hum ko harana chahta hai
usi se ho rahi hai is mein dhak-dhak
jise ye dil bhulana chahta hai
bharosa hi nahin mujh par tabhi to
wo mujh ko aazmana chahta hai
mohabbat tak nahin aati hai jis ko
wo mujh pe haq jatana chahta hai
idhar hum kar chuke hain dil ko patthar
udhar wo dil mein aana chahta hai
ye kya zid hai bata 'hassam' aaKHir
tu kyon KHud ko rulana chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.