mujhe Dhae chala ja mujhko banae chala ja
mujhe Dhaa.e chalā jā mujh ko banā.e chalā jā
dil lagānā tujhe aatā hai lagā.e chalā jā
mere qadmoñ se tū do chaar qadam pīchhe chal
mere girte hue lamhoñ ko uThā.e chalā jā
nā-mayassar kā bhī ho naam mayassar kā bhī
maiñ bulā.e chalā jaatā huuñ tū aa.e chalā jā
ham ki jalne pe bhī tayyār haiñ Dhalne par bhī
kaam jaise tirā chaltā hai chalā.e chalā jā
ai mire ġhā.eb-o-ġharqāb ye haq terā hai
jitnī uTh saktī hai ye lahr uThā.e chalā jā
ab tire dekhne vāloñ meñ koī hai ki nahīñ
maiñ na kahtā thā mirī ḳhaak uḌaa.e chalā jā
sab tamāsha mire zimme hai mire jism-nazhād
tū ne bas vaqt bitānā hai bitā.e chalā jā
ye tirī dhun meñ jo guzre to guzarnā aa jaa.e
is zamīñ-zād ko itnā tū sadhā.e chalā jā
mujhe Dhae chala ja mujh ko banae chala ja
dil lagana tujhe aata hai lagae chala ja
mere qadmon se tu do chaar qadam pichhe chal
mere girte hue lamhon ko uThae chala ja
na-mayassar ka bhi ho nam mayassar ka bhi
main bulae chala jata hun tu aae chala ja
hum ki jalne pe bhi tayyar hain Dhalne par bhi
kaam jaise tera chalta hai chalae chala ja
ai mere ghaeb-o-gharqab ye haq tera hai
jitni uTh sakti hai ye lahr uThae chala ja
ab tere dekhne walon mein koi hai ki nahin
main na kahta tha meri KHak uDae chala ja
sab tamasha mere zimme hai mere jism-nazhad
tu ne bas waqt bitana hai bitae chala ja
ye teri dhun mein jo guzre to guzarna aa jae
is zamin-zad ko itna tu sadhae chala ja
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 106)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.