mujhe KHabar hai rulaegi zar-zar mujhe
mujhe ḳhabar hai rulā.egī zār-zār mujhe
ye ek-tarfa mohabbat to degī maar mujhe
taras ga.ī huuñ tire lams kī tamāzat ko
na munjamid kahīñ kar de ye intizār mujhe
mujhe nahīñ hai mohabbat meñ devtā honā
maiñ thak chukī huuñ ab is auj se utaar mujhe
kabhī to dekh tire dar pe aan baiThī huuñ
kabhī to apne ġhulāmoñ meñ kar shumār mujhe
na diijo 'ishq meñ mujh ko qanā'atoñ kā sabaq
ki chāhiye hai tirā lutf be-shumār mujhe
basar karūñ tirī qurbat meñ apnī 'umr tamām
maiñ chāhatoñ se bharā vaqt huuñ guzār mujhe
qarār dil ko mayassar na chain tan ko mire
lagāyā 'ishq ne kaisā ye iztirār mujhe
suḳhan ko miltī hai tāsīr khilte zaḳhmoñ se
ye ranj-o-ġham to hue ḳhuub sāzgār mujhe
kabhī to khul ke kare baat khal gayā 'nasrīñ'
suḳhan ke baab meñ us kā ye iḳhtisār mujhe
mujhe KHabar hai rulaegi zar-zar mujhe
ye ek-tarfa mohabbat to degi mar mujhe
taras gai hun tere lams ki tamazat ko
na munjamid kahin kar de ye intizar mujhe
mujhe nahin hai mohabbat mein dewta hona
main thak chuki hun ab is auj se utar mujhe
kabhi to dekh tere dar pe aan baiThi hun
kabhi to apne ghulamon mein kar shumar mujhe
na dijo 'ishq mein mujh ko qana'aton ka sabaq
ki chahiye hai tera lutf be-shumar mujhe
basar karun teri qurbat mein apni 'umr tamam
main chahaton se bhara waqt hun guzar mujhe
qarar dil ko mayassar na chain tan ko mere
lagaya 'ishq ne kaisa ye iztirar mujhe
suKHan ko milti hai tasir khilte zaKHmon se
ye ranj-o-gham to hue KHub sazgar mujhe
kabhi to khul ke kare baat khal gaya 'nasrin'
suKHan ke bab mein us ka ye iKHtisar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.