aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe to jo bhi mila hai azab ki surat

Laiq Aajiz

mujhe to jo bhi mila hai azab ki surat

Laiq Aajiz

MORE BYLaiq Aajiz

    mujhe to jo bhī milā hai azaab sūrat

    mirī hayāt hai ik tishna ḳhvāb sūrat

    havāo dil taraf ehtiyāt se jaanā

    vajūd amn hai qaa.em hubāb sūrat

    malāmateñ ġham-o-ālām fikr māyūsī

    ye zindagī hai shikasta kitāb sūrat

    ḳhud apnī kargasī fitrat se ho ga.e rusvā

    vagarna tum bhī uThe the uqaab sūrat

    kabhī falak to samundar kabhī uThā laayā

    pasand donoñ ko hai āftāb sūrat

    shaguftagī jagah jhurriyoñ ne le hai

    hamārā chehra thā 'ājiz' gulāb sūrat

    mujhe to jo bhi mila hai azab ki surat

    meri hayat hai ek tishna KHwab ki surat

    hawao dil ki taraf ehtiyat se jaana

    wajud amn ka hai qaem hubab ki surat

    malamaten gham-o-alam fikr mayusi

    ye zindagi hai shikasta kitab ki surat

    KHud apni kargasi fitrat se ho gae ruswa

    wagarna tum bhi uThe the uqab ki surat

    kabhi falak to samundar kabhi uTha laya

    pasand donon ko hai aaftab ki surat

    shaguftagi ki jagah jhurriyon ne le li hai

    hamara chehra tha 'ajiz' gulab ki surat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now