mukammal zabt bhi kar len to ye sadme nahin jate

mukammal zabt bhi kar len to ye sadme nahin jate
Imran Nazeer Maani
MORE BYImran Nazeer Maani
mukammal zabt bhī kar leñ to ye sadme nahīñ jaate
ki tujh se ab hamāre raaz bhī rakkhe nahīñ jaate
hamāre sar kī tohmat hai tumhāre pair ke chhāle
hamāre ghar ko koī rāste kachche nahīñ jaate
shikasta 'ishq kī yādeñ chalo ab dafn karte haiñ
janāze ghar meñ itnī der tak rakkhe nahīñ jaate
hamārā dil bhī us ujḌe hue maskan ke jaisā hai
galī ke jis gharauñde meñ kabhī bachche nahīñ jaate
yaqīñ maano use kaafī salīqa hai mohabbat kā
ki ham patthar diloñ vaale yūñhī pighle nahīñ jaate
tū ye sāda-dilī le kar kabhī bhī 'ishq mat karnā
ki patte khelne hargiz kabhī andhe nahīñ jaate
mukammal zabt bhi kar len to ye sadme nahin jate
ki tujh se ab hamare raaz bhi rakkhe nahin jate
hamare sar ki tohmat hai tumhaare pair ke chhaale
hamare ghar ko koi raste kachche nahin jate
shikasta 'ishq ki yaaden chalo ab dafn karte hain
janaze ghar mein itni der tak rakkhe nahin jate
hamara dil bhi us ujDe hue maskan ke jaisa hai
gali ke jis gharaunde mein kabhi bachche nahin jate
yaqin mano use kafi saliqa hai mohabbat ka
ki hum patthar dilon wale yunhi pighle nahin jate
tu ye sada-dili le kar kabhi bhi 'ishq mat karna
ki patte khelne hargiz kabhi andhe nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.