muKHtasar ishq hai is mein bahut arsa nahin hai
muḳhtasar 'ishq hai is meñ bahut 'arsa nahīñ hai
jaise bas jism hai aur ruuh kā ḳharcha nahīñ hai
in dinoñ aisī mahārat meñ hai mash.hūr koī
jis kā is shahr ke qātil ne bhī sochā nahīñ hai
aa to jaate haiñ sabhī us ke tasarruf meñ magar
maan jaate haiñ ki vo aadmī achchhā nahīñ hai
ai mire dil kī zamīnoñ ke nigahbān ḳhudā
kyā mire naam pe thoḌā sā bhī raqba nahīñ hai
maar dete haiñ yahī log adā se apnī
aur kahte haiñ ki aadam kā bharosa nahīñ hai
pahle rakkheñge mohabbat kī jagah ḳhāmoshī
phir kaheñge ki mirī jaan ye dhokā nahīñ hai
kaise samjhā.eñ ki barbād hue haiñ kaise
tū ne us aañkh ko uThte kabhī dekhā nahīñ hai
muKHtasar 'ishq hai is mein bahut 'arsa nahin hai
jaise bas jism hai aur ruh ka KHarcha nahin hai
in dinon aisi mahaarat mein hai mashhur koi
jis ka is shahr ke qatil ne bhi socha nahin hai
aa to jate hain sabhi us ke tasarruf mein magar
man jate hain ki wo aadmi achchha nahin hai
ai mere dil ki zaminon ke nigahban KHuda
kya mere nam pe thoDa sa bhi raqba nahin hai
mar dete hain yahi log ada se apni
aur kahte hain ki aadam ka bharosa nahin hai
pahle rakkhenge mohabbat ki jagah KHamoshi
phir kahenge ki meri jaan ye dhoka nahin hai
kaise samjhaen ki barbaad hue hain kaise
tu ne us aankh ko uThte kabhi dekha nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.