mumkin na thi jo baat wahi baat ho gai

Asrar Akbarabadi

mumkin na thi jo baat wahi baat ho gai

Asrar Akbarabadi

MORE BYAsrar Akbarabadi

  mumkin na thī jo baat vahī baat ho ga.ī

  dariyā mujhe milā to mirī pyaas kho ga.ī

  jab tak tumhārā zikr rahā jāgtī rahī

  phir vo hasīn raat bhī mahfil meñ so ga.ī

  saayā tumhārī yaad ab mere saath hai

  duniyā to ik nadī thī samundar meñ kho ga.ī

  terā ḳhayāl aayā to mahsūs ye huā

  ḳhushbū tire badan mire saath ho ga.ī

  shāyad ye raat aap se milne raat hai

  ḳhush-rañg chāñdnī dar-o-dīvār dho ga.ī

  tere hasīñ ḳhayāl ḳhushbū fazā meñ thī

  bārish gulāb-jal hameñ bhī bhigo ga.ī

  'asrār' un ke ġham ne bhī raushan kiye charāġh

  palkoñ meñ ik ḳhushī bhī sitāre piro ga.ī

  mumkin na thi jo baat wahi baat ho gai

  dariya mujhe mila to meri pyas kho gai

  jab tak tumhaara zikr raha jagti rahi

  phir wo hasin raat bhi mahfil mein so gai

  saya tumhaari yaad ka ab mere sath hai

  duniya to ek nadi thi samundar mein kho gai

  tera KHayal aaya to mahsus ye hua

  KHushbu tere badan ki mere sath ho gai

  shayad ye raat aap se milne ki raat hai

  KHush-rang chandni dar-o-diwar dho gai

  tere hasin KHayal ki KHushbu faza mein thi

  barish gulab-jal ki hamein bhi bhigo gai

  'asrar' un ke gham ne bhi raushan kiye charagh

  palkon mein ek KHushi bhi sitare piro gai

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY
  Speak Now