mummy bana ke na show-case mein sajao mujhe
mummy banā ke na show-case meñ sajāo mujhe
maiñ ek laash huuñ dafnāo yā jalāo mujhe
ye maslahat hī nahīñ vaqt kā taqāza hai
ḳhushī ke din kī tarah tum bhī bhuul jaao mujhe
tumhāre saath to chalne meñ koī harj nahīñ
magar ḳhudā ke liye raah to batāo mujhe
maiñ vo matā' huuñ jis kā nahīñ koī vāris
'azīz dosto chupke se bech khaao mujhe
purāne aa.ine chehroñ ko chaaT lete haiñ
jo ho sake to nayā aa.ina dikhāo mujhe
maiñ ban na jā.ūñ kisī ajnabī kā hamrāhī
parā.e des meñ yuuñ chhoḌ ke na jaao mujhe
mummy bana ke na show-case mein sajao mujhe
main ek lash hun dafnao ya jalao mujhe
ye maslahat hi nahin waqt ka taqaza hai
KHushi ke din ki tarah tum bhi bhul jao mujhe
tumhaare sath to chalne mein koi harj nahin
magar KHuda ke liye rah to batao mujhe
main wo mata' hun jis ka nahin koi waris
'aziz dosto chupke se bech khao mujhe
purane aaine chehron ko chaT lete hain
jo ho sake to naya aaina dikhao mujhe
main ban na jaun kisi ajnabi ka hamrahi
parae des mein yun chhoD ke na jao mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.