muntashir ho ke sanwarne ki tamanna karna
muntashir ho ke sañvarne kī tamanna karnā
'ishq meñ huuñ so mirā bantā hai aisā karnā
mujh ko is sānahe ne kar diyā pāgal āḳhir
us ne chhoḌā hī nahīñ mujh pe bharosa karnā
aap agar 'aam tamāshā.ī haiñ to achchhā hai
mujh ko aatā nahīñ achchhe se tamāsha karnā
is meñ imkān jo dar kā hai vo to hai hī magar
kaam dīvār kā ik aur hai saaya karnā
guuñj bhī us kī palaT aa.e to kahnā mujh se
tum ḳhalāoñ meñ mirā naam pukārā karnā
zid lagā rakkhī hai tū ne hī akele-pan kī
chāhtā kaun hai 'tarkash' tujhe tanhā karnā
muntashir ho ke sanwarne ki tamanna karna
'ishq mein hun so mera banta hai aisa karna
mujh ko is sanahe ne kar diya pagal aaKHir
us ne chhoDa hi nahin mujh pe bharosa karna
aap agar 'am tamashai hain to achchha hai
mujh ko aata nahin achchhe se tamasha karna
is mein imkan jo dar ka hai wo to hai hi magar
kaam diwar ka ek aur hai saya karna
gunj bhi us ki palaT aae to kahna mujh se
tum KHalaon mein mera nam pukara karna
zid laga rakkhi hai tu ne hi akele-pan ki
chahta kaun hai 'tarkash' tujhe tanha karna
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 73)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.