muntashir kar ke kabhi KHud ko murattab kar ke
muntashir kar ke kabhī ḳhud ko murattab kar ke
ham ne dekhā hai ka.ī baar yahī sab kar ke
apnī tanhā.ī meñ har roz chhalak lete haiñ
apne ehsās ke kaase ko labālab kar ke
apnī yak-rang tabī'at ko ravāñ karte haiñ
sarkashī kar ke kabhī ḳhud ko mohazzab kar ke
roz ham ḳhud se savālāt kiyā karte haiñ
jaane kis kis ko ḳhayāloñ meñ muḳhātab kar ke
ham sunāte hī chale jaate sahar tak lekin
tum ne qissa kiyā dushvār kahāñ kab kar ke
ik siyāhī sī nigāhoñ meñ utar aa.egī
din ko dekhoge agar roz yuñhī shab kar ke
muntashir kar ke kabhi KHud ko murattab kar ke
hum ne dekha hai kai bar yahi sab kar ke
apni tanhai mein har roz chhalak lete hain
apne ehsas ke kase ko labaalab kar ke
apni yak-rang tabi'at ko rawan karte hain
sarkashi kar ke kabhi KHud ko mohazzab kar ke
roz hum KHud se sawalat kiya karte hain
jaane kis kis ko KHayalon mein muKHatab kar ke
hum sunate hi chale jate sahar tak lekin
tum ne qissa kiya dushwar kahan kab kar ke
ek siyahi si nigahon mein utar aaegi
din ko dekhoge agar roz yunhi shab kar ke
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 114)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.