musafirat mein sukun ke safar nahin aae
musāfirat meñ sukūñ ke safar nahīñ aa.e
hamāre haath meñ chāhat ke par nahīñ aa.e
hazār manzar-e-ḳhush-rang haiñ nigāhoñ meñ
tire sivā mujhe kuchh bhī nazar nahīñ aa.e
misāl-e-shahr-e-ḳhamoshāñ hai terī bastī bhī
udhar ga.e jo kabhī phir idhar nahīñ aa.e
tujhe pata to chale intizār kī zahmat
tū raah dekhtā ho vo magar nahīñ aa.e
ye jānte hue rāhoñ ke ho ga.e patthar
ki jaane vaale kabhī lauT kar nahīñ aa.e
nikal ga.e jo tire dil se dar-ba-dar Thahre
'ḳhizar' kabhī bhī unheñ raas ghar nahīñ aa.e
musafirat mein sukun ke safar nahin aae
hamare hath mein chahat ke par nahin aae
hazar manzar-e-KHush-rang hain nigahon mein
tere siwa mujhe kuchh bhi nazar nahin aae
misal-e-shahr-e-KHamoshan hai teri basti bhi
udhar gae jo kabhi phir idhar nahin aae
tujhe pata to chale intizar ki zahmat
tu rah dekhta ho wo magar nahin aae
ye jaante hue rahon ke ho gae patthar
ki jaane wale kabhi lauT kar nahin aae
nikal gae jo tere dil se dar-ba-dar Thahre
'KHizar' kabhi bhi unhen ras ghar nahin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.