Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

musalsal mujh pe ye teri inayat mar Dalegi

Sabihuddin Shoaiby

musalsal mujh pe ye teri inayat mar Dalegi

Sabihuddin Shoaiby

MORE BYSabihuddin Shoaiby

    musalsal mujh pe ye terī ināyat maar Dālegī

    kabhī furqat kabhī is darja qurbat maar Dālegī

    ġharīb-e-shahr kyā is ko ġhurbat maar Dālegī

    amīr-e-shahr ko daulat chāhat maar Dālegī

    saḌak par paayā jā.egā kisī din merā bhī lāsha

    mujhe sach bolte rahne aadat maar Dālegī

    ye terī dast-gīrī ek din le Dūbegī mujh ko

    mirī har baat par terī himāyat maar Dālegī

    agar chāhat shiddat din-ba-din baḌhtī rahī yuuñ

    'sabīh'-e-nīm-jāñ tujh ko mohabbat maar Dālegī

    musalsal mujh pe ye teri inayat mar Dalegi

    kabhi furqat kabhi is darja qurbat mar Dalegi

    gharib-e-shahr ka kya is ko ghurbat mar Dalegi

    amir-e-shahr ko daulat ki chahat mar Dalegi

    saDak par paya jaega kisi din mera bhi lasha

    mujhe sach bolte rahne ki aadat mar Dalegi

    ye teri dast-giri ek din le Dubegi mujh ko

    meri har baat par teri himayat mar Dalegi

    agar chahat ki shiddat din-ba-din baDhti rahi yun hi

    'sabih'-e-nim-jaan tujh ko mohabbat mar Dalegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now