musawwir mumkin-o-imkan ka paikar banata hai
musavvir mumkin-o-imkān kā paikar banātā hai
mirī tasvīr vo mujh se bahut behtar banātā hai
use aatā hai rakhnā naqsh meñ tajdīd kā 'unsur
purāne canvas par nit-na.e manzar banātā hai
safar kartā hai ḳhārij kī taraf har naqsh-e-dāḳhil se
mire bāhar kā manzar vo mire andar banātā hai
banā detā hai pahle ḳhuun se ik jism kāġhaz par
phir us ke baa'd vo tasvīr meñ ḳhanjar banātā hai
ham ahl-e-āgahī sajda nahīñ tajsīm kar sakte
hameñ mā'lūm hai patthar se kyā aazar banātā hai
hamārī sarkashī kī had use mā'lūm kyā 'āsim'
vo sāda-ḳhū hathelī par hamārā sar banātā hai
musawwir mumkin-o-imkan ka paikar banata hai
meri taswir wo mujh se bahut behtar banata hai
use aata hai rakhna naqsh mein tajdid ka 'unsur
purane canwas par nit-nae manzar banata hai
safar karta hai KHarij ki taraf har naqsh-e-daKHil se
mere bahar ka manzar wo mere andar banata hai
bana deta hai pahle KHun se ek jism kaghaz par
phir us ke ba'd wo taswir mein KHanjar banata hai
hum ahl-e-agahi sajda nahin tajsim kar sakte
hamein ma'lum hai patthar se kya aazar banata hai
hamari sarkashi ki had use ma'lum kya 'asim'
wo sada-KHu hatheli par hamara sar banata hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 132)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.