musibaton mein main KHud ko Dhaaras bandha rahi thi to tum kahan the

musibaton mein main KHud ko Dhaaras bandha rahi thi to tum kahan the
Sana Hashmi
MORE BYSana Hashmi
musībatoñ meñ maiñ ḳhud ko Dhāras bañdhā rahī thī to tum kahāñ the
qadam qadam par mujhe ye duniyā satā rahī thī to tum kahāñ the
hatheliyoñ se haiñ ashk poñchhe hatheliyoñ se haiñ muñh chhupā.e
sisak sisak kar maiñ tanhā aañsū bahā rahī thī to tum kahāñ the
maiñ apne pairoñ pe jab khaḌī thī to tum mire saath chal rahe the
mujhe safar meñ har ek Thokar girā rahī thī to tum kahāñ the
maiñ gir ke uThnā phir uTh ke chalnā ḳhud apne dam par huuñ siikh paa.ī
mujhe aqārib kī chāl-bāzī harā rahī thī to tum kahāñ the
badal chukī huuñ maiñ raah apnī palaT ke vāpas na aa sakūñgī
tumhārī rāhoñ se ḳhud ko pīchhe haTā rahī thī to tum kahāñ the
ab aa.e ho jaañ nisār karne mohabbatoñ kā hisāb karne
mohabbatoñ se maiñ jab tumhīñ ko bulā rahī thī to tum kahāñ the
huī hai lāhaq ye fikr kaise tumheñ mirī ab samajh na aa.ī
'sanā' jo ḳhvārī se apnā dāman bachā rahī thī to tum kahāñ the
musibaton mein main KHud ko Dhaaras bandha rahi thi to tum kahan the
qadam qadam par mujhe ye duniya sata rahi thi to tum kahan the
hatheliyon se hain ashk ponchhe hatheliyon se hain munh chhupae
sisak sisak kar main tanha aansu baha rahi thi to tum kahan the
main apne pairon pe jab khaDi thi to tum mere sath chal rahe the
mujhe safar mein har ek Thokar gira rahi thi to tum kahan the
main gir ke uThna phir uTh ke chalna KHud apne dam par hun sikh pai
mujhe aqarib ki chaal-bazi hara rahi thi to tum kahan the
badal chuki hun main rah apni palaT ke wapas na aa sakungi
tumhaari rahon se KHud ko pichhe haTa rahi thi to tum kahan the
ab aae ho jaan nisar karne mohabbaton ka hisab karne
mohabbaton se main jab tumhin ko bula rahi thi to tum kahan the
hui hai lahaq ye fikr kaise tumhein meri ab samajh na aai
'sana' jo KHwari se apna daman bacha rahi thi to tum kahan the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.