mustaqbilon ki guzre zamanon ki zad pe hun
mustaqbiloñ kī guzre zamānoñ kī zad pe huuñ
maiñ is jahāñ meñ kitne jahānoñ kī zad pe huuñ
huuñ aisā 'aks jis ke ka.ī aur 'aks haiñ
maiñ be-shumār ā.ina-ḳhānoñ kī zad pe huuñ
manzar hue tamām to suntā huuñ āhaTeñ
āñkhoñ kī zad se niklā to kānoñ kī zad pe huuñ
vāqe' kahīñ huuñ hone na hone ke darmiyāñ
maiñ apne be-nishān nishānoñ kī zad pe huuñ
mujh ko mire yaqīn pe kitnā yaqīn hai
itnā yaqīn hai ki gumānoñ kī zad pe huuñ
tarkash bhī merā tiir bhī mere hadaf bhī maiñ
apne ḳhilāf apnī kamānoñ kī zad pe huuñ
mustaqbilon ki guzre zamanon ki zad pe hun
main is jahan mein kitne jahanon ki zad pe hun
hun aisa 'aks jis ke kai aur 'aks hain
main be-shumar aaina-KHanon ki zad pe hun
manzar hue tamam to sunta hun aahaTen
aankhon ki zad se nikla to kanon ki zad pe hun
waqe' kahin hun hone na hone ke darmiyan
main apne be-nishan nishanon ki zad pe hun
mujh ko mere yaqin pe kitna yaqin hai
itna yaqin hai ki gumanon ki zad pe hun
tarkash bhi mera tir bhi mere hadaf bhi main
apne KHilaf apni kamanon ki zad pe hun
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 34)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.