mutmain hun main agar hai qadr mere kaam ki
mutma.in huuñ maiñ agar hai qadr mere kaam kī
shā'irī meñ kyā zarūrat hai kisī in'ām kī
phir bhī un ko jaane kyā kyā mil gayā hai be-hisāb
koī koshish kī na mehnat hī barā.e-nām kī
thak gayā huuñ yā koī lambā safar darpesh hai
kuchh dinoñ se fikr lāhaq hai mujhe ārām kī
vo ḳhudā hai jo bhī jī meñ aa.e kartā hai miyāñ
ibtidā hī kuchh nahīñ to fikr kyā anjām kī
kis qadar nuqsān uThāyā soch kar rotā huuñ maiñ
kuchh dinoñ jo 'umr apnī mubtalā-e-jām kī
kaise kaise mas.ale lahrā rahe haiñ zehn meñ
sub.h se tasvīr bantī jā rahī hai shaam kī
sab se achchhā hai yahī maz.hab nahīñ gardānte
shādiyāñ karne ko lete haiñ madad islām kī
naam meñ kuchh bhī nahīñ rakkhā ġhalat hai 'irtizā'
kis qadar 'izzat hai duniyā meñ mohammad naam kī
mutmain hun main agar hai qadr mere kaam ki
sha'iri mein kya zarurat hai kisi in'am ki
phir bhi un ko jaane kya kya mil gaya hai be-hisab
koi koshish ki na mehnat hi barae-nam ki
thak gaya hun ya koi lamba safar darpesh hai
kuchh dinon se fikr lahaq hai mujhe aaram ki
wo KHuda hai jo bhi ji mein aae karta hai miyan
ibtida hi kuchh nahin to fikr kya anjam ki
kis qadar nuqsan uThaya soch kar rota hun main
kuchh dinon jo 'umr apni mubtala-e-jam ki
kaise kaise masale lahra rahe hain zehn mein
subh se taswir banti ja rahi hai sham ki
sab se achchha hai yahi mazhab nahin gardante
shadiyan karne ko lete hain madad islam ki
nam mein kuchh bhi nahin rakkha ghalat hai 'irtiza'
kis qadar 'izzat hai duniya mein mohammad nam ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.