mutrib se navā ruuTh ga.ī hai to mujhe kyā
ye sham.a agar jal ke bujhī hai to mujhe kyā
maiñ koh-o-bayābāñ kā chahaktā huā panchhī
har shāḳh-e-chaman phūlī-phalī hai to mujhe kyā
mausam kī hasīñ taal pe nācheñgī fazā.eñ
ye baat kisī gul ne kahī hai to mujhe kyā
ḳhushbū se hai ḳhālī abhī dāmān-e-tasavvur
tū bāġh-e-tamannā kī kalī hai to mujhe kyā
hai faḳhr abhī apne buḌhāpe ke lahū par
shīshe meñ tire lāl-parī hai to mujhe kyā
ai dost maiñ kab thā ġham-e-hālāt ke taabe
hālāt kī raftār vahī hai to mujhe kyā
maqsūd faqat dast-e-tasavvur kī ziyārat
tasvīr meñ rangoñ kī kamī hai to mujhe kyā
dam toḌ diyā zauq-e-tamannā ne taḌap kar
qātil kī nazar jaam banī hai to mujhe kyā
hotī hai adā rasm kahīñ merī balā se
parvān na.ī riit chaḌhī hai to mujhe kyā
maiñ pyaar ke zaḳhmoñ kā parastār huuñ gul-chīñ
idrāk kī shādāb kalī hai to mujhe kyā
ḳhātir meñ talātum ko bhī laatā nahīñ hamdam
kashtī koī sāhil pe lagī hai to mujhe kyā
raushan hai mire dil meñ tirī yaad kā sūraj
jugnū kī shab-e-ġham se Thanī hai to mujhe kyā
'muftī' mirī āñkhoñ ne faqat ashk bahā.e
hāsil tujhe duniyā kī ḳhushī hai to mujhe kyā
mutrib se nawa ruTh gai hai to mujhe kya
ye shama agar jal ke bujhi hai to mujhe kya
main koh-o-bayaban ka chahakta hua panchhi
har shaKH-e-chaman phuli-phali hai to mujhe kya
mausam ki hasin tal pe nachengi fazaen
ye baat kisi gul ne kahi hai to mujhe kya
KHushbu se hai KHali abhi daman-e-tasawwur
tu bagh-e-tamanna ki kali hai to mujhe kya
hai faKHr abhi apne buDhape ke lahu par
shishe mein tere lal-pari hai to mujhe kya
ai dost main kab tha gham-e-haalat ke tabe
haalat ki raftar wahi hai to mujhe kya
maqsud faqat dast-e-tasawwur ki ziyarat
taswir mein rangon ki kami hai to mujhe kya
dam toD diya zauq-e-tamanna ne taDap kar
qatil ki nazar jam bani hai to mujhe kya
hoti hai ada rasm kahin meri bala se
parwan nai rit chaDhi hai to mujhe kya
main pyar ke zaKHmon ka parastar hun gul-chin
idrak ki shadab kali hai to mujhe kya
KHatir mein talatum ko bhi lata nahin hamdam
kashti koi sahil pe lagi hai to mujhe kya
raushan hai mere dil mein teri yaad ka suraj
jugnu ki shab-e-gham se Thani hai to mujhe kya
'mufti' meri aankhon ne faqat ashk bahae
hasil tujhe duniya ki KHushi hai to mujhe kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.