muttasil ho to gaya panw ke chhaale se mere
muttasil ho to gayā paañv ke chhāle se mire
sho’la-e-gul nahīñ sañbhlegā sañbhāle se mire
maiñ ki mīzān-e-ma'ānī meñ tulā kartā thā
ik tarāzū mutavāzin thī havāle se mire
sar-e-har-tāq mirā harf-e-talab jāgtā hai
tū nimaT saktā nahīñ nuur ke haale se mire
kuchh isī taur se lau detī rahe aañkh mirī
ik sitāra kahīñ raushan hai ujāle se mire
maiñ is āvāz ko tasvīr nahīñ kar saktā
mujhe āgāh to kar māñgne vaale se mire
muttasil ho to gaya panw ke chhaale se mere
sho’la-e-gul nahin sanbhlega sanbhaale se mere
main ki mizan-e-ma'ani mein tula karta tha
ek taraazu mutawazin thi hawale se mere
sar-e-har-taq mera harf-e-talab jagta hai
tu nimaT sakta nahin nur ke haale se mere
kuchh isi taur se lau deti rahe aankh meri
ek sitara kahin raushan hai ujale se mere
main is aawaz ko taswir nahin kar sakta
mujhe aagah to kar mangne wale se mere
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 69)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.