na ahl-e-dil hain na fikr-o-nigah wale hain
na ahl-e-dil haiñ na fikr-o-nigāh vaale haiñ
hamāre shahr meñ sab ḳhānqāh vaale haiñ
jo guftugū hai vo ḳhālis ġhinā-o-faqr kī hai
jo paiñtare haiñ faqat hubb-e-jāh vaale haiñ
jo nek-dil haiñ asāġhir meñ hai shumār un kā
kabīr log kabīra gunāh vaale haiñ
hameñ bhī apne sivā kuchh nazar nahīñ aatā
ḳhudā kā shukr hai ham bhī nigāh vaale haiñ
'ajīb shahr hai ghar to haiñ 'āmiyāna magar
lavāzimāt sabhī husn-gāh vaale haiñ
ye makr-o-fan haiñ tahā.if na.e tamaddun ke
ye sab khilaune isī kār-gāh vaale haiñ
jalā.ūñ kaise yahāñ apne fikr-o-fan kā charāġh
suḳhan-farosh baḌī rasm-o-rāh vaale haiñ
hunar se apne qad-āvar nahīñ yahāñ koī
sab apne zo'm meñ ūñchī kulāh vaale haiñ
na ahl-e-dil hain na fikr-o-nigah wale hain
hamare shahr mein sab KHanqah wale hain
jo guftugu hai wo KHalis ghina-o-faqr ki hai
jo paintare hain faqat hubb-e-jah wale hain
jo nek-dil hain asaghir mein hai shumar un ka
kabir log kabira gunah wale hain
hamein bhi apne siwa kuchh nazar nahin aata
KHuda ka shukr hai hum bhi nigah wale hain
'ajib shahr hai ghar to hain 'amiyana magar
lawazimat sabhi husn-gah wale hain
ye makr-o-fan hain tahaif nae tamaddun ke
ye sab khilaune isi kar-gah wale hain
jalaun kaise yahan apne fikr-o-fan ka charagh
suKHan-farosh baDi rasm-o-rah wale hain
hunar se apne qad-awar nahin yahan koi
sab apne zo'm mein unchi kulah wale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.