Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na be-ruKHi kabhi barti na iltifat kiya

Anwar Shuoor

na be-ruKHi kabhi barti na iltifat kiya

Anwar Shuoor

MORE BYAnwar Shuoor

    na be-ruḳhī kabhī bartī na iltifāt kiyā

    sulūk us ne masāvī hamāre saath kiyā

    sadā-bahār rahā baaġh garche phūloñ ne

    bahut kiyā to ghaḌī do-ghaḌī sabāt kiyā

    tire baġhair ta'ajjub hai kis tarah maiñ ne

    sahar ko shaam kiyā aur din ko raat kiyā

    bas ik tujhe na kisī taur sake varna

    ḳhudā gavāh muhāloñ ko mumkināt kiyā

    tire tapāk haq aur kyā adā karte

    bayān ārzūoñ ko bhī vāqi'āt kiyā

    hayāt kam thī magar rā.egāñ na jaane

    jihād marg-e-musalsal se tā-hayāt kiyā

    kal us ne bazm meñ dekhā mujhe zarūr magar

    nazar churā ke lihāz-e-ta'alluqāt kiyā

    'shu’ūr' aah na ash'ār meñ kiyā mahfūz

    ḳhazāna tum ne jo sarf-e-mukālamāt kiyā

    na be-ruKHi kabhi barti na iltifat kiya

    suluk us ne masawi hamare sath kiya

    sada-bahaar raha bagh garche phulon ne

    bahut kiya to ghaDi do-ghaDi sabaat kiya

    tere baghair ta'ajjub hai kis tarah main ne

    sahar ko sham kiya aur din ko raat kiya

    bas ek tujhe na kisi taur pa sake warna

    KHuda gawah muhaalon ko mumkinat kiya

    tere tapak ka haq aur kya ada karte

    bayan aarzuon ko bhi waqi'at kiya

    hayat kam thi magar raegan na jaane di

    jihad marg-e-musalsal se ta-hayat kiya

    kal us ne bazm mein dekha mujhe zarur magar

    nazar chura ke lihaz-e-ta'alluqat kiya

    'shu’ur' aah na ash'ar mein kiya mahfuz

    KHazana tum ne jo sarf-e-mukalamat kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now