Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na chaaragar na masiha na rahbar tha main

Yaqoob Arif

na chaaragar na masiha na rahbar tha main

Yaqoob Arif

MORE BYYaqoob Arif

    na chāragar na masīhā na rāhbar thā maiñ

    nazar meñ phir bhī zamāne mo'atabar thā maiñ

    anā pe harf na aa jaa.e haq-parastoñ

    uThā.e apne neze pe apnā sar thā maiñ

    savāl ye nahīñ kis ne kiyā thā qatl mujhe

    savāl ye hai ki kyuuñ ḳhud se be-ḳhabar thā maiñ

    jo sub.h-e-nau asīrī meñ de rahā thā payām

    vo inqilāb-e-zamāna nāma-bar thā maiñ

    sukūn-e-dil bhī milā ābloñ lazzat bhī

    tumhāre saath safar meñ jo ham-safar thā maiñ

    hue the past havāoñ ke hausle 'ārif'

    jab apne khole fazāoñ meñ bāl-o-par thā maiñ

    na chaaragar na masiha na rahbar tha main

    nazar mein phir bhi zamane ki mo'atabar tha main

    ana pe harf na aa jae haq-paraston ki

    uThae apne hi neze pe apna sar tha main

    sawal ye nahin kis ne kiya tha qatl mujhe

    sawal ye hai ki kyun KHud se be-KHabar tha main

    jo subh-e-nau ka asiri mein de raha tha payam

    wo inqilab-e-zamana ka nama-bar tha main

    sukun-e-dil bhi mila aablon ki lazzat bhi

    tumhaare sath safar mein jo ham-safar tha main

    hue the past hawaon ke hausle 'arif'

    jab apne khole fazaon mein baal-o-par tha main

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 801)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now