na jaane kaun tha aur kya wo karne wala tha
na jaane kaun thā aur kyā vo karne vaalā thā
mire qarīb se chhup kar guzarne vaalā thā
kisī ne khīñch lī sīḌhī to gir ke TuuT gayā
maiñ saḳht-jān kahāñ aise marne vaalā thā
tamām shahr meñ e'lān kar diyā tum ne
maiñ qarz le ke bhalā kab mukarne vaalā thā
na jaane kaise vahī shaḳhs Dar gayā mujh se
ki jis ko dekh ke maiñ ḳhud hī Darne vaalā thā
mirī nazar hī na 'balrāj' lag ga.ī ho use
vo chāñd jo mirī chhat par utarne vaalā thā
na jaane kaun tha aur kya wo karne wala tha
mere qarib se chhup kar guzarne wala tha
kisi ne khinch li siDhi to gir ke TuT gaya
main saKHt-jaan kahan aise marne wala tha
tamam shahr mein e'lan kar diya tum ne
main qarz le ke bhala kab mukarne wala tha
na jaane kaise wahi shaKHs Dar gaya mujh se
ki jis ko dekh ke main KHud hi Darne wala tha
meri nazar hi na 'balraj' lag gai ho use
wo chand jo meri chhat par utarne wala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.