na koi dar na daricha na saeban hain hum
na koī dar na darīcha na sā.ebān haiñ ham
koī batā.e ki kis shahr kā nishān haiñ ham
hai terī aañkh meñ aañsū to aa bujhāne aa
ki tere shahr kā jaltā huā makān haiñ ham
na ham pe naaz kare gardish-e-zamāna kyoñ
khañDar libās meñ bhī shahr-e-zī-lisān haiñ ham
guloñ ko qatl bhī kar ke vo log kahte haiñ
jo pūchhiye to haqīqat meñ bāġhbān haiñ ham
ye vaqt roz hī tahrīr kar rahā hai hameñ
ḳhamosh rah ke bhī goyā koī bayān haiñ ham
tū jis maqām pe rakkhe hameñ qubūl hai dost
tirī zamīn haiñ terā hī āsmān haiñ ham
kisī bhī aur ko ham se ho kyā gurez 'shamīm'
fazā-e-dahr meñ apnā hī imtihān haiñ ham
na koi dar na daricha na saeban hain hum
koi batae ki kis shahr ka nishan hain hum
hai teri aankh mein aansu to aa bujhane aa
ki tere shahr ka jalta hua makan hain hum
na hum pe naz kare gardish-e-zamana kyon
khanDar libas mein bhi shahr-e-zi-lisan hain hum
gulon ko qatl bhi kar ke wo log kahte hain
jo puchhiye to haqiqat mein baghban hain hum
ye waqt roz hi tahrir kar raha hai hamein
KHamosh rah ke bhi goya koi bayan hain hum
tu jis maqam pe rakkhe hamein qubul hai dost
teri zamin hain tera hi aasman hain hum
kisi bhi aur ko hum se ho kya gurez 'shamim'
faza-e-dahr mein apna hi imtihan hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.