Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na kunisht o kalisa se kaam hamein dar-e-dair na bait-e-haram se gharaz

Bedam Shah Warsi

na kunisht o kalisa se kaam hamein dar-e-dair na bait-e-haram se gharaz

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    na kunisht o kalīsā se kaam hameñ dar-e-dair na bait-e-haram se ġharaz

    ki azal se hamāre sajdoñ ko rahī tere naqsh-e-qadam se ġharaz

    jo mahr hai to zarra ham haiñ bahr hai to qatra ham haiñ

    sūrat hai ham ā.īna hameñ tujh se ġharaz tujhe ham se ġharaz

    na nashāt-e-visāl na hijr ġham na ḳhayāl-e-bahār na ḳhauf-e-ḳhizāñ

    na saqar ḳhatar hai na shauq-e-iram na sitam se hazar na karam se ġharaz

    rakhā kūcha-e-ishq meñ jis ne qadam huā hazrat-e-ishq jis pe karam

    use aap se bhī sarokār nahīñ jo ġharaz hai to apne sanam se ġharaz

    tirī yaad ho aur dil-e-bedam ho tirā dard ho aur dil-e-bedam ho

    'bedam' ko rahe tire ġham se ġharaz tire ġham ko rahe 'bedam' se ġharaz

    na kunisht o kalisa se kaam hamein dar-e-dair na bait-e-haram se gharaz

    ki azal se hamare sajdon ko rahi tere hi naqsh-e-qadam se gharaz

    jo tu mahr hai to zarra hum hain tu bahr hai to qatra hum hain

    tu surat hai hum aaina hamein tujh se gharaz tujhe hum se gharaz

    na nashat-e-visal na hijr ka gham na KHayal-e-bahaar na KHauf-e-KHizan

    na saqar ka KHatar hai na shauq-e-iram na sitam se hazar na karam se gharaz

    rakha kucha-e-ishq mein jis ne qadam hua hazrat-e-ishq ka jis pe karam

    use aap se bhi sarokar nahin jo gharaz hai to apne sanam se gharaz

    teri yaad ho aur dil-e-bedam ho tera dard ho aur dil-e-bedam ho

    'bedam' ko rahe tere gham se gharaz tere gham ko rahe 'bedam' se gharaz

    Source:

    Deewan-e-bedam (Rekhta Website) (Pg. 131)

    • Author: Bedam Shah Warsi
      • Publisher: Hindustani Book Depo, Lucknow
      • Year of Publication: 1935
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now