Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na mahfil aisi hoti hai na KHalwat aisi hoti hai

Shaz Tamkanat

na mahfil aisi hoti hai na KHalwat aisi hoti hai

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    na mahfil aisī hotī hai na ḳhalvat aisī hotī hai

    mire ma.abūd kyā jiine sūrat aisī hotī hai

    bas ik kaifiyyat-e-ḳhud-raftagī tanhā.iyāñ apnī

    hameñ miltī hai fursat bhī to fursat aisī hotī hai

    ye duniyā sar-ba-sar rañgīniyoñ meñ Duub jaatī hai

    tirī qāmat har shai meñ shabāhat aisī hotī hai

    dar-o-dīvār par bas ek sannāTe raunaq hai

    mire mehmāñ se pūchho ghar jannat aisī hotī hai

    kahāñ apnī siyah-kārī kahāñ ye terī ma.asūmī

    tujhe dekhā nahīñ jaatā nadāmat aisī hotī hai

    koī dekhe tujhe to az-sar-e-nau zindagī māñge

    rivāyat jhuuT hai qātil sūrat aisī hotī hai

    ye majbūrī, mohabbat bhiik jaisī bhī gavārā hai

    kabhī din raat ko terī zarūrat aisī hotī hai

    bichhaḌ kar tujh se milne masarrat bhuul jaatā huuñ

    ki mil kar phir bichhaḌne aziyyat aisī hotī hai

    na mahfil aisi hoti hai na KHalwat aisi hoti hai

    mere mabud kya jine ki surat aisi hoti hai

    bas ek kaifiyyat-e-KHud-raftagi tanhaiyan apni

    hamein milti hai fursat bhi to fursat aisi hoti hai

    ye duniya sar-ba-sar ranginiyon mein Dub jati hai

    teri qamat ki har shai mein shabahat aisi hoti hai

    dar-o-diwar par bas ek sannaTe ki raunaq hai

    mere mehman se puchho ghar ki jannat aisi hoti hai

    kahan apni siyah-kari kahan ye teri masumi

    tujhe dekha nahin jata nadamat aisi hoti hai

    koi dekhe tujhe to az-sar-e-nau zindagi mange

    riwayat jhuT hai qatil ki surat aisi hoti hai

    ye majburi, mohabbat bhik jaisi bhi gawara hai

    kabhi din raat ko teri zarurat aisi hoti hai

    bichhaD kar tujh se milne ki masarrat bhul jata hun

    ki mil kar phir bichhaDne ki aziyyat aisi hoti hai

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 605)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now