Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na main dariya na mujh mein zoam koi be-karani ka

Khurshid Talab

na main dariya na mujh mein zoam koi be-karani ka

Khurshid Talab

MORE BYKhurshid Talab

    na maiñ dariyā na mujh meñ zo.am koī be-karānī

    ki maiñ huuñ bulbule shakl meñ ehsās paanī

    mohabbat meñ tirī apnī zabāñ ko liyā maiñ ne

    asar zaa.il na ho jaa.e tirī jādū-bayānī

    ajab kyā hai jo merī dāstān-e-ḳhūñ-chakāñ se bhī

    koī pahlū nikal aa.e kisī shādmānī

    maiñ apne paañv zanjīr ik din ḳhud kāTūñgā

    hadaf banñā nahīñ mujh ko kisī mehrbānī

    tumhāre sāmne aa.uuñ tumheñ apnī safā.ī duuñ

    sabab ma.alūm ho tab tumhārī bad-gumānī

    mirā siina hazāroñ chīḳhtī rūhoñ maskan hai

    vasīla huuñ maiñ gūñgī hasratoñ tarjumānī

    hamārā ahd bhī likkhe alif-lailā ke jaisā kuchh

    badalnā chāhiye ab rañg kuchh qissa-kahānī

    nahīñ tere liye ye do minute chup nahīñ kaafī

    tirā ġham mustahiq hai umr bhī nauha-ḳhvānī

    mirī tā.īd meñ bhī ab kisī hoñT to kāñpe

    koī to dard bāñTe aa.e merī be-zabānī

    na main dariya na mujh mein zoam koi be-karani ka

    ki main hun bulbule ki shakl mein ehsas pani ka

    mohabbat mein teri apni zaban ko si liya main ne

    asar zail na ho jae teri jadu-bayani ka

    ajab kya hai jo meri dastan-e-KHun-chakan se bhi

    koi pahlu nikal aae kisi ki shadmani ka

    main apne panw ki zanjir ek din KHud hi kaTunga

    hadaf banna nahin mujh ko kisi ki mehrbani ka

    tumhaare samne aaun tumhein apni safai dun

    sabab malum ho tab na tumhaari bad-gumani ka

    mera sina hazaron chiKHti ruhon ka maskan hai

    wasila hun main gungi hasraton ki tarjumani ka

    hamara ahd bhi likkhe alif-laila ke jaisa kuchh

    badalna chahiye ab rang kuchh qissa-kahani ka

    nahin tere liye ye do minute ki chup nahin kafi

    tera gham mustahiq hai umr bhi ki nauha-KHwani ka

    meri taid mein bhi ab kisi ka honT to kanpe

    koi to dard banTe aae meri be-zabani ka

    RECITATIONS

    Khurshid Talab

    Khurshid Talab,

    Khurshid Talab

    na main dariya na mujh mein zoam koi be-karani ka Khurshid Talab

    Source :
    • Book : Jahaan Gard (Pg. 31)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now