Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na puchh mazhab-o-nam-o-nasab sawal na kar

Nasreen Syed

na puchh mazhab-o-nam-o-nasab sawal na kar

Nasreen Syed

MORE BYNasreen Syed

    na pūchh maz.hab-o-nām-o-nasab savāl na kar

    jo hai tirā hai vahī merā rab savāl na kar

    savāl karnā zarūrī hai āgahī ke liye

    magar ho āgahī āzār jab savāl na kar

    ye terā ḳhaam tajassus na tujh ko bhaTkā de

    ye mājrā hai tavajjoh-talab savāl na kar

    abhī to shahr-e-tilismāt meñ hai pahlā qadam

    aa gayā hai to kar sabr ab savāl na kar

    kahāñ se rang dhanak dhuup ruup meñ utrī

    'atā hai kis ye albelī chhab savāl na kar

    na pūchh harf sitāroñ meñ Dhal ga.e kaise

    suḳhan ko kaise milī tāb-o-tab savāl na kar

    safar meñ kaun kahāñ merā saath chhoḌ gayā

    nahīñ hai jānñā lāzim ye sab savāl na kar

    yahāñ to bas sar-e-taslīm ḳham rahe 'nasrīn'

    ye 'ishq hai zarā hadd-e-adab savāl na kar

    na puchh mazhab-o-nam-o-nasab sawal na kar

    jo hai tera hai wahi mera rab sawal na kar

    sawal karna zaruri hai aagahi ke liye

    magar ho aagahi aazar jab sawal na kar

    ye tera KHam tajassus na tujh ko bhaTka de

    ye majra hai tawajjoh-talab sawal na kar

    abhi to shahr-e-tilismat mein hai pahla qadam

    tu aa gaya hai to kar sabr ab sawal na kar

    kahan se rang dhanak dhup rup mein utri

    'ata hai kis ki ye albeli chhab sawal na kar

    na puchh harf sitaron mein Dhal gae kaise

    suKHan ko kaise mili tab-o-tab sawal na kar

    safar mein kaun kahan mera sath chhoD gaya

    nahin hai jaanna lazim ye sab sawal na kar

    yahan to bas sar-e-taslim KHam rahe 'nasrin'

    ye 'ishq hai zara hadd-e-adab sawal na kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now