na puchh mujhse mere dilruba ke bare mein
na pūchh mujh se mire dilrubā ke baare meñ
maiñ kyā batā.ūñ ab us bevafā ke baare meñ
safar ke vaqt zarā ehtiyāt behtar hai
kisī ḳhizar ke kisī rahnumā ke baare meñ
na koī 'ilm hameñ intihā kī bābat hai
na jānte haiñ abhī ibtidā ke baare meñ
tamām dekhne vāloñ kī raa.e yaksāñ hai
tumhāre shahr kī āb-o-havā ke baare meñ
ḳhudā ke mānñe vāloñ ke paas bhī shāyad
koī dalīl nahīñ hai ḳhudā ke baare meñ
'amal karo to 'umūman qubūl hotī hai
ye tajraba hai hamārā du'ā ke baare meñ
mirā dimāġh burī tarh ghuum jaatā hai
maiñ sochtā huuñ jab arz-o-samā ke baare meñ
suḳhan-sarāoñ ne kyā kyā suḳhan nahīñ bāñdhe
tumhāre naaz tumhārī adā ke baare meñ
huā hai tujh se sadāqat kā irtikāb 'sha'ūr'
kuchh ehtimāl nahīñ ab sazā ke baare meñ
na puchh mujh se mere dilruba ke bare mein
main kya bataun ab us bewafa ke bare mein
safar ke waqt zara ehtiyat behtar hai
kisi KHizar ke kisi rahnuma ke bare mein
na koi 'ilm hamein intiha ki babat hai
na jaante hain abhi ibtida ke bare mein
tamam dekhne walon ki rae yaksan hai
tumhaare shahr ki aab-o-hawa ke bare mein
KHuda ke manne walon ke pas bhi shayad
koi dalil nahin hai KHuda ke bare mein
'amal karo to 'umuman qubul hoti hai
ye tajraba hai hamara du'a ke bare mein
mera dimagh buri tarh ghum jata hai
main sochta hun jab arz-o-sama ke bare mein
suKHan-saraon ne kya kya suKHan nahin bandhe
tumhaare naz tumhaari ada ke bare mein
hua hai tujh se sadaqat ka irtikab 'sha'ur'
kuchh ehtimal nahin ab saza ke bare mein
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 78)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.