na ras aai agar hangama-arai to kya hoga
na raas aa.ī agar hangāma-ārā.ī to kyā hogā
kisī kī ho ga.ī merī ye tanhā.ī to kyā hogā
maiñ us kī sarkashī ko dekhtā huuñ aur kuḌhtā huuñ
chaTānoñ se agar ye mauj Takrā.ī to kyā hogā
mire baare meñ ye ehsās tum ko ho chukā hogā
agar is shaḳhs ko zanjīr pahnā.ī to kyā hogā
yahāñ maiñ ajnabī huuñ aur sab zī-haisiyat insāñ
madad kī peshkash bil-farz Thukrā.ī to kyā hogā
mire lahje meñ ghabrāhaT kā 'unsur DhūñDne vaalo
isī meñ kho ga.ī saarī tavānā.ī to kyā hogā
miloge tum to bharrā.e hue lahje meñ pūchhūñgā
mukammal ho chukegī merī rusvā.ī to kyā hogā
misāleñ do magar nā-qābil-e-tardīd hoñ aisī
'alāmat isti'āre ke na kaam aa.ī to kyā hogā
'nishāte' ye mohabbat aur nafrat khel haiñ donoñ
bane ik dūsre ke ham tamāshā.ī to kyā hogā
na ras aai agar hangama-arai to kya hoga
kisi ki ho gai meri ye tanhai to kya hoga
main us ki sarkashi ko dekhta hun aur kuDhta hun
chaTanon se agar ye mauj Takrai to kya hoga
mere bare mein ye ehsas tum ko ho chuka hoga
agar is shaKHs ko zanjir pahnai to kya hoga
yahan main ajnabi hun aur sab zi-haisiyat insan
madad ki peshkash bil-farz Thukrai to kya hoga
mere lahje mein ghabrahaT ka 'unsur DhunDne walo
isi mein kho gai sari tawanai to kya hoga
miloge tum to bharrae hue lahje mein puchhunga
mukammal ho chukegi meri ruswai to kya hoga
misalen do magar na-qabil-e-tardid hon aisi
'alamat isti'are ke na kaam aai to kya hoga
'nishate' ye mohabbat aur nafrat khel hain donon
bane ek dusre ke hum tamashai to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.