Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na tajalliyan na tasalliyan na salam hai na kalam hai

Akhtar Orenvi

na tajalliyan na tasalliyan na salam hai na kalam hai

Akhtar Orenvi

MORE BYAkhtar Orenvi

    na tajalliyāñ na tasalliyāñ na salām hai na kalām hai

    tirī jalva-gāh-e-ḳhayāl meñ bhī sukūt payām hai

    abhī husn mahv-e-ḳhirām hai abhī shoḳh jalva-e-ām hai

    kabhī ḳhalvatoñ meñ bhī raam hai ki taḳhayyulāt daam hai

    na vo ārzūeñ zabāñ zabāñ na vo hasrateñ haiñ nazar nazar

    tirī anjuman na vo anjuman na vo shauq maqām hai

    na vo tūr-e-nāz bijliyāñ na kalīm-e-ishq shoḳhiyāñ

    na vo raunaqeñ na vo ishrateñ na vo sub.h hai na vo shaam hai

    jo sharāb-e-husn-o-jamāl meñ bhī haiñ bul-havas milāvaTeñ

    dil-e-mai-parast hai ḳhūñ-fishāñ ki ye mai-kade nizām hai

    dam-e-kā.enāt fuġhāñ-fuġhāñ ġham-e-mumkināt hai jāñ-sitāñ

    ye tasavvurāt dhuāñ-dhuāñ ki 'adam vujūd naam hai

    hai nishān-e-zaḳhm subū-subū yahāñ sāġharoñ meñ lahū-lahū

    ye bukā ye naala ye hichkiyāñ ye fuġhān-e-shīsha-o-jām hai

    mirī aah raunaq-e-anjuman hai sadā-e-dard suḳhan-suḳhan

    tirī pardagī ye bāñkpan kahāñ jalva hai kahāñ baam hai

    hai talāsh-e-husn makāñ-makāñ vahī justujū hai zamāñ-zamāñ

    ye fareb 'aḳhtar'-e-ḳhush-gumāñ dil-e-mubtalā kaam hai

    na tajalliyan na tasalliyan na salam hai na kalam hai

    teri jalwa-gah-e-KHayal mein bhi sukut hi ka payam hai

    abhi husn mahw-e-KHiram hai abhi shoKH jalwa-e-am hai

    kabhi KHalwaton mein bhi ram hai ki taKHayyulat ka dam hai

    na wo aarzuen zaban zaban na wo hasraten hain nazar nazar

    teri anjuman na wo anjuman na wo shauq hi ka maqam hai

    na wo tur-e-naz ki bijliyan na kalim-e-ishq ki shoKHiyan

    na wo raunaqen na wo ishraten na wo subh hai na wo sham hai

    jo sharab-e-husn-o-jamal mein bhi hain bul-hawas ki milawaTen

    dil-e-mai-parast hai KHun-fishan ki ye mai-kade ka nizam hai

    dam-e-kaenat fughan-fughan gham-e-mumkinat hai jaan-sitan

    ye tasawwuraat dhuan-dhuan ki 'adam wujud ka nam hai

    hai nishan-e-zaKHm subu-subu yahan sagharon mein lahu-lahu

    ye buka ye nala ye hichkiyan ye fughan-e-shisha-o-jam hai

    meri aah raunaq-e-anjuman hai sada-e-dard suKHan-suKHan

    teri pardagi ka ye bankpan kahan jalwa hai kahan baam hai

    hai talash-e-husn makan-makan wahi justuju hai zaman-zaman

    ye fareb 'aKHtar'-e-KHush-guman dil-e-mubtala ka hi kaam hai

    Source:

    Yak Chaman (Pg. 36)

    • Author: Akhtar Orenvi
      • Publisher: Kitab Manzil Sabzi Bagh, Patna
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now