Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na to dil ka na jaan ka daftar hai

Jaun Eliya

na to dil ka na jaan ka daftar hai

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    na to dil na jaañ daftar hai

    zindagī ik ziyāñ daftar hai

    paḌh rahā huuñ maiñ kāġhzāt-e-vajūd

    aur nahīñ aur haañ daftar hai

    koī soche to soz-e-karb-e-jāñ

    saarā daftar gumāñ daftar hai

    ham meñ se koī to kare isrār

    ki zamīñ āsmāñ daftar hai

    hijr ta.atīl-e-jism-o-jāñ hai miyāñ

    vasl jism aur jaañ daftar hai

    vo jo daftar hai āsmānī-tar

    vo miyāñ yahāñ daftar hai

    hai jo būd-o-nabūd daftar

    āḳhirash ye kahāñ daftar hai

    jo haqīqat hai dam-ba-dam yaad

    vo to ik dāstāñ daftar hai

    ho rahā hai guzishtagāñ hisāb

    aur ā.indagāñ daftar hai

    na to dil ka na jaan ka daftar hai

    zindagi ek ziyan ka daftar hai

    paDh raha hun main kaghzat-e-wajud

    aur nahin aur han ka daftar hai

    koi soche to soz-e-karb-e-jaan

    sara daftar guman ka daftar hai

    hum mein se koi to kare israr

    ki zamin aasman ka daftar hai

    hijr tatil-e-jism-o-jaan hai miyan

    wasl jism aur jaan ka daftar hai

    wo jo daftar hai aasmani-tar

    wo miyan ji yahan ka daftar hai

    hai jo bud-o-nabud ka daftar

    aaKHirash ye kahan ka daftar hai

    jo haqiqat hai dam-ba-dam ki yaad

    wo to ek dastan ka daftar hai

    ho raha hai guzishtagan ka hisab

    aur aaindagan ka daftar hai

    Source:

    Lekin (Pg. E-72 B-73)

    • Author: Jaun Eliya
      • Edition: 2010
      • Publisher: Takhleeqkar Publishers, Delhi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now