Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na to gundh hun kisi phul ki na hi phul hun kisi bagh ka

ShivKumar Bilgrami

na to gundh hun kisi phul ki na hi phul hun kisi bagh ka

ShivKumar Bilgrami

MORE BYShivKumar Bilgrami

    na to gundh huuñ kisī phuul na phuul huuñ kisī baaġh

    kisī aañkh ko jo na bhā sakā vo ujaaḌ huuñ kisī raaġh

    mire ashk se mire dard se nahīñ vāsta hai jahān ko

    na to ashk huuñ kisī 'mīr' na dard huuñ kisī 'dāġh'

    jo jalā kare to jalā kare jo bujhā rahe to bujhā rahe

    kisī aur ko na sunā.ī de vahī dard huuñ maiñ charāġh

    na to yaad huuñ koī pur-kashish na ḳhvāb huuñ koī ḳhushnumā

    dil-e-shād ko jo kare dukhī vo ḳhayāl huuñ maiñ dimāġh

    na to pyaas huuñ maiñ sharāb na ghūñT huuñ maiñ sharāb

    bujhī pyaas jo na jagā sake vahī ghūñT huuñ maiñ ayāġh

    na to gundh hun kisi phul ki na hi phul hun kisi bagh ka

    kisi aankh ko jo na bha saka wo ujaD hun kisi ragh ka

    mere ashk se mere dard se nahin wasta hai jahan ko

    na to ashk hun kisi 'mir' ka na hi dard hun kisi 'dagh' ka

    jo jala kare to jala kare jo bujha rahe to bujha rahe

    kisi aur ko na sunai de wahi dard hun main charagh ka

    na to yaad hun koi pur-kashish na hi KHwab hun koi KHushnuma

    dil-e-shad ko jo kare dukhi wo KHayal hun main dimagh ka

    na to pyas hun main sharab ki na hi ghunT hun main sharab ka

    bujhi pyas jo na jaga sake wahi ghunT hun main ayagh ka

    Source:

    Nai Kahkashan (Pg. 38)

    • Author: Shivkumar Bilagrami
      • Edition: 2015
      • Publisher: Amrit Prakashan
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now