na to jine ko na mar jaane ko ji chahta hai
na to jiine ko na mar jaane ko jī chāhtā hai
kyā kahūñ kyā mirā kar jaane ko jī chāhtā hai
kuchh bhī to aisā nahīñ jis se sukūñ dil ko mile
in dinoñ yuuñ hai ki mar jaane ko jī chāhtā hai''
na to sāhil pe khaḌe rahne se kuchh hāsil hai
aur na paanī meñ utar jaane ko jī chāhtā hai
bazm meñ un kī ho jaanā to jhijhaknā kaisā
mat ruko jaao agar jaane ko jī chāhtā hai
zulf hai apnī pareshān to vo ā.ina-rū
sāmne rakh ke sañvar jaane ko jī chāhtā hai
had muqarrar ho jahāñ 'ishq kī vo 'ishq nahīñ
aaj to had se guzar jaane ko jī chāhtā hai
na 'hasan' apnā na begāna ho dīvāna jahāñ
usī sahrā se guzar jaane ko jī chāhtā hai
na to jine ko na mar jaane ko ji chahta hai
kya kahun kya mera kar jaane ko ji chahta hai
kuchh bhi to aisa nahin jis se sukun dil ko mile
in dinon yun hai ki mar jaane ko ji chahta hai
na to sahil pe khaDe rahne se kuchh hasil hai
aur na pani mein utar jaane ko ji chahta hai
bazm mein un ki ho jaana to jhijhakna kaisa
mat ruko jao agar jaane ko ji chahta hai
zulf hai apni pareshan to wo aaina-ru
samne rakh ke sanwar jaane ko ji chahta hai
had muqarrar ho jahan 'ishq ki wo 'ishq nahin
aaj to had se guzar jaane ko ji chahta hai
na 'hasan' apna na begana ho diwana jahan
usi sahra se guzar jaane ko ji chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.