nara-e-ittihad laega
nā'ra-e-ittihād lā.egā
shahr meñ phir fasād lā.egā
sach kī shāḳhoñ pe phuul khilne do
jhuuT ḳhud e'timād lā.egā
merī ḳhvāhish hai raushnī laa.e
us kī zid hai savād lā.egā
us ko fikr-e-ma'āsh se kyā kaam
sāhib-e-fan hai daad lā.egā
jis ko lenā nahīñ kitāb se kuchh
bojh to vo bhī laad lā.egā
she'r ke sāmne 'azīm' ab kyā
lamha-e-intiqād lā.egā
na'ra-e-ittihad laega
shahr mein phir fasad laega
sach ki shaKHon pe phul khilne do
jhuT KHud e'timad laega
meri KHwahish hai raushni lae
us ki zid hai sawad laega
us ko fikr-e-ma'ash se kya kaam
sahib-e-fan hai dad laega
jis ko lena nahin kitab se kuchh
bojh to wo bhi lad laega
she'r ke samne 'azim' ab kya
lamha-e-intiqad laega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.