nagah wo raste se bhaTka to bahut roya
nāgāh vo raste se bhaTkā to bahut royā
muḌ-muḌ ke mujhe dekhā samjhā to bahut royā
vo barhamī se mujh se har rishta bhulā baiThā
jab paas mire ik din aayā to bahut royā
manzūr na thā us ko hijrat kā zamāna par
nāchār ḳhizāñ-rut meñ bichhḌā to bahut royā
ulfat meñ shikast-o-ġham lāzim hai yaqīnan vo
jab karb-e-judā.ī meñ TuuTā to bahut royā
patthar thā tabī'at meñ fitrat meñ bhī talḳhī thī
vo naġhma mirā jab jab gaayā to bahut royā
taqdīr ke kātib ne likkhā thā shikast-o-reḳht
jab apne nasībe kā paayā to bahut royā
merī ye navā goyā ik aah hai hijrat kī
is aah ko lafzoñ meñ Dhālā to bahut royā
mā'sūm thā naTkhaT thā jaanā na tujhe 'fāḳhir'
jab us ne tujhe samjhā jaanā to bahut royā
nagah wo raste se bhaTka to bahut roya
muD-muD ke mujhe dekha samjha to bahut roya
wo barhami se mujh se har rishta bhula baiTha
jab pas mere ek din aaya to bahut roya
manzur na tha us ko hijrat ka zamana par
nachaar KHizan-rut mein bichhDa to bahut roya
ulfat mein shikast-o-gham lazim hai yaqinan wo
jab karb-e-judai mein TuTa to bahut roya
patthar tha tabi'at mein fitrat mein bhi talKHi thi
wo naghma mera jab jab gaya to bahut roya
taqdir ke katib ne likkha tha shikast-o-reKHt
jab apne nasibe ka paya to bahut roya
meri ye nawa goya ek aah hai hijrat ki
is aah ko lafzon mein Dhaala to bahut roya
ma'sum tha naTkhaT tha jaana na tujhe 'faKHir'
jab us ne tujhe samjha jaana to bahut roya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.