nam aur naqsh ki sarhad se mila dega mujhe
naam aur naqsh kī sarhad se milā degā mujhe
ḳhud mirā ḳhvāb kabhī ḳhvāb banā degā mujhe
ye sitāra sā jo dil hai mirī daryāft tamām
jab talak raushnī detā hai du'ā degā mujhe
ye alag baat ki maiñ gosh-bar-āvāz nahīñ
phir bhī kuchh der to ā.īna sadā degā mujhe
dil ki baḌhtā chalā aatā hai nazar kī jānib
phir kisī kār-e-mohabbat pe lagā degā mujhe
jism uktāyā agar ek sī vahshat se to dil
ek dasht aur isī dasht meñ lā degā mujhe
jis safīne meñ shab-o-roz ke aa baiThā huuñ
mauj meñ aayā agar mauj banā degā mujhe
dil meñ dīvār ke uThne se ye shor uTThā hai
ye vo saaya hai jo chup-chāp jalā degā mujhe
nam aur naqsh ki sarhad se mila dega mujhe
KHud mera KHwab kabhi KHwab bana dega mujhe
ye sitara sa jo dil hai meri daryaft tamam
jab talak raushni deta hai du'a dega mujhe
ye alag baat ki main gosh-bar-awaz nahin
phir bhi kuchh der to aaina sada dega mujhe
dil ki baDhta chala aata hai nazar ki jaanib
phir kisi kar-e-mohabbat pe laga dega mujhe
jism uktaya agar ek si wahshat se to dil
ek dasht aur isi dasht mein la dega mujhe
jis safine mein shab-o-roz ke aa baiTha hun
mauj mein aaya agar mauj bana dega mujhe
dil mein diwar ke uThne se ye shor uTTha hai
ye wo saya hai jo chup-chap jala dega mujhe
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 25)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.