nam hun main pata nahin hun main
naam huuñ maiñ patā nahīñ huuñ maiñ
chal rahā huuñ khaḌā nahīñ huuñ maiñ
jo huā so huā mohabbat meñ
lauT kar dekhtā nahīñ huuñ maiñ
mujh se bichhḌā huā hai vo hogā
us se bichhḌā huā nahīñ huuñ maiñ
ye zamāna nahīñ bhalā.ī kā
varna itnā burā nahīñ huuñ maiñ
vo baḌī sādgī se miltā hai
jaise kuchh jāntā nahīñ huuñ maiñ
be-niyāzāna zindagī kab tak
aadmī huuñ ḳhudā nahīñ huuñ maiñ
dekhtā huuñ TaTol kar ḳhud ko
vāqa'ī huuñ bhī yā nahīñ huuñ maiñ
vahī 'anvar-sha'ūr' huuñ ab tak
dekh lo dūsrā nahīñ huuñ maiñ
nam hun main pata nahin hun main
chal raha hun khaDa nahin hun main
jo hua so hua mohabbat mein
lauT kar dekhta nahin hun main
mujh se bichhDa hua hai wo hoga
us se bichhDa hua nahin hun main
ye zamana nahin bhalai ka
warna itna bura nahin hun main
wo baDi sadgi se milta hai
jaise kuchh jaanta nahin hun main
be-niyazana zindagi kab tak
aadmi hun KHuda nahin hun main
dekhta hun TaTol kar KHud ko
waqa'i hun bhi ya nahin hun main
wahi 'anwar-sha'ur' hun ab tak
dekh lo dusra nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.