nariyal ke daraKHton ki pagal hawa khul gae baadban lauT ja lauT ja

nariyal ke daraKHton ki pagal hawa khul gae baadban lauT ja lauT ja
Bashir Badr
MORE BYBashir Badr
nāriyal ke daraḳhtoñ kī pāgal havā khul ga.e bādbāñ lauT jā lauT jā
sāñvlī sarzamīñ par maiñ agle baras phuul khilne se pahle hī aa jā.ūñgā
garm kapḌoñ kā sandūq mat kholnā varna yādoñ kī kāfūr jaisī mahak
ḳhuun meñ aag ban kar utar jā.egī sub.h tak ye makāñ ḳhaak ho jā.egā
lawn meñ ek bhī bel aisī nahīñ jo dehātī parinde ke par bāñdh le
jangalī aam kī jān-levā mahak jab bulā.egī vāpas chalā jā.egā
mere bachpan ke mandir kī vo mūrtī dhuup ke āsmāñ pe khaḌī thī magar
ek din jab mirā qad mukammal huā us kā saarā badan barf meñ dhañs gayā
anginat kaale kaale parindoñ ke par Tuut kar zard paanī ko Dhakne lage
fāḳhta dhuup ke pul pe baiThī rahī raat kā haat chup-chāp baḌhtā gayā
nariyal ke daraKHton ki pagal hawa khul gae baadban lauT ja lauT ja
sanwli sarzamin par main agle baras phul khilne se pahle hi aa jaunga
garm kapDon ka sanduq mat kholna warna yaadon ki kafur jaisi mahak
KHun mein aag ban kar utar jaegi subh tak ye makan KHak ho jaega
lawn mein ek bhi bel aisi nahin jo dehati parinde ke par bandh le
jangali aam ki jaan-lewa mahak jab bulaegi wapas chala jaega
mere bachpan ke mandir ki wo murti dhup ke aasman pe khaDi thi magar
ek din jab mera qad mukammal hua us ka sara badan barf mein dhans gaya
anginat kale kale parindon ke par Tut kar zard pani ko Dhakne lage
faKHta dhup ke pul pe baiThi rahi raat ka hat chup-chap baDhta gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.