nae safinon ko sahil ki duriyan de din
na.e safīnoñ ko sāhil kī dūriyāñ de diiñ
zahīn bachchoñ ke hāthoñ meñ titliyāñ de diiñ
vo ik charāġh na bujh paayā tum se jis ke liye
tamām shahr-e-charāġhāñ ko āñdhiyāñ de diiñ
bahut 'azīm sahī daulat-e-anā lekin
anā-pasandī ne kitnoñ ko sūliyāñ de diiñ
ye hādisa hai ki kuchh vaqt ke ḳhudāoñ ne
musāfiroñ ko sarāboñ ke kashtiyāñ de diiñ
ra.īs-e-shahr muḳhayyar hai is qadar us ne
charāġh māñgne vāloñ ko bijliyāñ de diiñ
yaqīn karte haiñ kuchh log yuuñ nujūmī par
ḳhudā ke haath meñ jaise hatheliyāñ de diiñ
nae safinon ko sahil ki duriyan de din
zahin bachchon ke hathon mein titliyan de din
wo ek charagh na bujh paya tum se jis ke liye
tamam shahr-e-charaghan ko aandhiyan de din
bahut 'azim sahi daulat-e-ana lekin
ana-pasandi ne kitnon ko suliyan de din
ye hadisa hai ki kuchh waqt ke KHudaon ne
musafiron ko sarabon ke kashtiyan de din
rais-e-shahr muKHayyar hai is qadar us ne
charagh mangne walon ko bijliyan de din
yaqin karte hain kuchh log yun nujumi par
KHuda ke hath mein jaise hatheliyan de din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.