nafrat ki apne dil mein na diwar kar buland
nafrat kī apne dil meñ na dīvār kar buland
insān hai to 'azmat-e-kirdār kar buland
kar pyaar tere sāmne vo sar jhukā.eñge
tū apne dushmanoñ pe na talvār kar buland
jins-e-vafā kī tujh pe khule qadr-o-manzilat
jauhar-shanās dīda-e-bedār kar buland
chūmeñge tere paañv sitāroñ kī manzileñ
shauq-e-safar kā jazba-e-raftār kar buland
ā.īna tujh pe hoñge sab asrār-e-kā.enāt
zauq-e-nigāh chashm-e-talabgār kar buland
mahfil meñ jāñ-nisār haiñ parvāne saiñkaḌoñ
ai sham'-e-husn sho'la-e-ruḳhsār kar buland
nazreñ uThā ke dekh nazāre haiñ muntazir
kuchh to mazāq-e-dīd kā me'yār kar buland
dīvāna apnā kah ke pukāre koī tujhe
itnā to apne 'ishq kā me'yār kar buland
anjām-e-kaj-kulāhī pe 'ibrat kī ik nazar
itnī na kaj-adā.ī se dastār kar buland
rul jaa.e Thokaroñ meñ na ye tāj-e-ḳhusravī
naḳhvat se apne sar ko na zinhār kar buland
ab vaqt aa gayā hai 'ziyā' sū-e-dār chal
haq baat kah ke sar ko sar-e-dār kar buland
nafrat ki apne dil mein na diwar kar buland
insan hai to 'azmat-e-kirdar kar buland
kar pyar tere samne wo sar jhukaenge
tu apne dushmanon pe na talwar kar buland
jins-e-wafa ki tujh pe khule qadr-o-manzilat
jauhar-shanas dida-e-bedar kar buland
chumenge tere panw sitaron ki manzilen
shauq-e-safar ka jazba-e-raftar kar buland
aaina tujh pe honge sab asrar-e-kaenat
zauq-e-nigah chashm-e-talabgar kar buland
mahfil mein jaan-nisar hain parwane sainkaDon
ai sham'-e-husn sho'la-e-ruKHsar kar buland
nazren uTha ke dekh nazare hain muntazir
kuchh to mazaq-e-did ka me'yar kar buland
diwana apna kah ke pukare koi tujhe
itna to apne 'ishq ka me'yar kar buland
anjam-e-kaj-kulahi pe 'ibrat ki ek nazar
itni na kaj-adai se dastar kar buland
rul jae Thokaron mein na ye taj-e-KHusrawi
naKHwat se apne sar ko na zinhaar kar buland
ab waqt aa gaya hai 'ziya' su-e-dar chal
haq baat kah ke sar ko sar-e-dar kar buland
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.