nagar mein dil ke ab kuchh bhi nahin hai
nagar meñ dil ke ab kuchh bhī nahīñ hai
yahāñ shor-o-shaġhab kuchh bhī nahīñ hai
ye dil rasman dhaḌaktā jā rahā hai
dhaḌakne kā sabab kuchh bhī nahīñ hai
na jaane kaun kab lahja badal le
ye duniyā hai 'ajab kuchh bhī nahīñ hai
ta'alluq thā to thī nārāzgī bhī
par ab lutf-o-ġhazab kuchh bhī nahīñ hai
na vo pahle se ab ranj-o-alam haiñ
na vo bazm-e-tarab kuchh bhī nahīñ hai
tirī furqat kā kyā ḳhadsha ho dil ko
tirī qurbat meñ jab kuchh bhī nahīñ hai
jo kahnā thā kahā khul kar hamesha
hamāre zer-e-lab kuchh bhī nahīñ hai
na koī maslahat na vaz'-dārī
hameñ jiine kā Dhab kuchh bhī nahīñ hai
mahak ash'ār kī bāñTī jahāñ meñ
par apnā ye kasab kuchh bhī nahīñ hai
bane baiThe haiñ bābā-e-adab vo
jinheñ pās-e-adab kuchh bhī nahīñ hai
maiñ bint-e-ādam-o-havvā huuñ 'arshī'
mirā nām-o-nasab kuchh bhī nahīñ hai
nagar mein dil ke ab kuchh bhi nahin hai
yahan shor-o-shaghab kuchh bhi nahin hai
ye dil rasman dhaDakta ja raha hai
dhaDakne ka sabab kuchh bhi nahin hai
na jaane kaun kab lahja badal le
ye duniya hai 'ajab kuchh bhi nahin hai
ta'alluq tha to thi naraazgi bhi
par ab lutf-o-ghazab kuchh bhi nahin hai
na wo pahle se ab ranj-o-alam hain
na wo bazm-e-tarab kuchh bhi nahin hai
teri furqat ka kya KHadsha ho dil ko
teri qurbat mein jab kuchh bhi nahin hai
jo kahna tha kaha khul kar hamesha
hamare zer-e-lab kuchh bhi nahin hai
na koi maslahat na waz'-dari
hamein jine ka Dhab kuchh bhi nahin hai
mahak ash'ar ki banTi jahan mein
par apna ye kasab kuchh bhi nahin hai
bane baiThe hain baba-e-adab wo
jinhen pas-e-adab kuchh bhi nahin hai
main bint-e-adam-o-hawwa hun 'arshi'
mera nam-o-nasab kuchh bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.