Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin jati agar ye aasman tak

Ishaq Virdag

nahin jati agar ye aasman tak

Ishaq Virdag

MORE BYIshaq Virdag

    nahīñ jaatī agar ye āsmāñ tak

    to phir is chīḳh had hai kahāñ tak

    chalo paanī se vo sho.ala nikāleñ

    uThā.e jo zamīñ ko āsmāñ tak

    ab agle moḌ par pātāl hogā

    yaqīñ se aa gayā huuñ maiñ gumāñ tak

    zamāne ko samajh paayā nahīñ huuñ

    maiñ samjhātā rahūñ ḳhud ko kahāñ tak

    ajab ik khel khelā rahā hai

    na thā jis hameñ koī gumāñ tak

    bahut ḳhūbsūrat rāsta hai

    jo sīdhā rahā hai rā.egāñ tak

    zamīñ ke baab meñ kuchh mashvare haiñ

    zarā maiñ rahā huuñ āsmāñ tak

    nahin jati agar ye aasman tak

    to phir is chiKH ki had hai kahan tak

    chalo pani se wo shoala nikalen

    uThae jo zamin ko aasman tak

    ab agle moD par patal hoga

    yaqin se aa gaya hun main guman tak

    zamane ko samajh paya nahin hun

    main samjhata rahun KHud ko kahan tak

    ajab ek khel khela ja raha hai

    na tha jis ka hamein koi guman tak

    bahut hi KHubsurat rasta hai

    jo sidha ja raha hai raegan tak

    zamin ke bab mein kuchh mashware hain

    zara main ja raha hun aasman tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now