nahin jab KHud hi apne ham-zaban hum
nahīñ jab ḳhud hī apne ham-zabāñ ham
baneñ kaise kisī ke tarjumāñ ham
sañbhaltā hī nahīñ hai vaqt ham se
bahut karte haiñ ḳhud apnā ziyāñ ham
ḳhudā.ī ke bharose aa ga.e haiñ
khule sahrā meñ zer-e-āsmāñ ham
kahānī meñ numāyāñ ho rahe haiñ
parinde peḌ āñdhī āshiyāñ ham
tavajjoh chāhiye ai ahl-e-mahfil
sunāne jā rahe haiñ dāstāñ ham
hameñ Dar hai bahut kuchh kar ke āḳhir
chale jaa.eñ na 'āsim' rā.egāñ ham
nahin jab KHud hi apne ham-zaban hum
banen kaise kisi ke tarjuman hum
sanbhalta hi nahin hai waqt hum se
bahut karte hain KHud apna ziyan hum
KHudai ke bharose aa gae hain
khule sahra mein zer-e-asman hum
kahani mein numayan ho rahe hain
parinde peD aandhi aashiyan hum
tawajjoh chahiye ai ahl-e-mahfil
sunane ja rahe hain dastan hum
hamein Dar hai bahut kuchh kar ke aaKHir
chale jaen na 'asim' raegan hum
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 129)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.