nahin ki KHatm himayat ka silsila kiya jae
nahīñ ki ḳhatm himāyat kā silsila kiyā jaa.e
diyā hai 'ijz to imkān-e-mo'jiza kiyā jaa.e
ham ahl-e-chashm pe tārīkiyāñ jhapaTtī haiñ
hamāre gird sitāroñ ko dā.era kiyā jaa.e
ta'alluqāt meñ lāzim hai tāzgī rakhnā
ġhalat nahīñ jo 'ibādat meñ tajraba kiyā jaa.e
rachī-basī haiñ sabhī lazzateñ to phir kaise
kisī zabān kā tabdīl zā.iqa kiyā jaa.e
ravā nahīñ hameñ maujūdgī farishtoñ kī
ham ai'takāf meñ baiThe haiñ taḳhliya kiyā jaa.e
sabhī ne shart lagā.ī huī hai apne ḳhilāf
yahāñ kisī se bhalā kyā muqābla kiyā jaa.e
maiñ kah rahā huuñ parinda hai fitratan har shaḳhs
mire bayān pe be-lāg tabsira kiyā jaa.e
ham apne aap ko bas ik taraf se dekhte haiñ
hamārī aañkh kā tabdīl zāviya kiyā jaa.e
maiñ kah rahā huuñ bahut bahs kar chuke ham log
maiñ chāhtā huuñ ki ab koī faislā kiyā jaa.e
agar lagāv hai to bārhā bhī jaa.ez hai
agar hai 'ishq to bas ek martaba kiyā jaa.e
hudūd-e-chashm se aage nazar nahīñ jaatī
vasī' aur hamārā mushāhida kiyā jaa.e
is irtiqā ke marāhil meñ ye guzārish hai
ki sirf ham se hamārā muvāzana kiyā jaa.e
haiñ is laḌā.ī meñ 'āsim' sharīk ham donoñ
ye sochtā huuñ ki dushman se mashvara kiyā jaa.e
nahin ki KHatm himayat ka silsila kiya jae
diya hai 'ijz to imkan-e-mo'jiza kiya jae
hum ahl-e-chashm pe tarikiyan jhapaTti hain
hamare gird sitaron ko daera kiya jae
ta'alluqat mein lazim hai tazgi rakhna
ghalat nahin jo 'ibaadat mein tajraba kiya jae
rachi-basi hain sabhi lazzaten to phir kaise
kisi zaban ka tabdil zaiqa kiya jae
rawa nahin hamein maujudgi farishton ki
hum ai'takaf mein baiThe hain taKHliya kiya jae
sabhi ne shart lagai hui hai apne KHilaf
yahan kisi se bhala kya muqabla kiya jae
main kah raha hun parinda hai fitratan har shaKHs
mere bayan pe be-lag tabsira kiya jae
hum apne aap ko bas ek taraf se dekhte hain
hamari aankh ka tabdil zawiya kiya jae
main kah raha hun bahut bahs kar chuke hum log
main chahta hun ki ab koi faisla kiya jae
agar lagaw hai to barha bhi jaez hai
agar hai 'ishq to bas ek martaba kiya jae
hudud-e-chashm se aage nazar nahin jati
wasi' aur hamara mushahida kiya jae
is irtiqa ke marahil mein ye guzarish hai
ki sirf hum se hamara muwazana kiya jae
hain is laDai mein 'asim' sharik hum donon
ye sochta hun ki dushman se mashwara kiya jae
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 124)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.