Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin nahin hai mujhe etibar shishe par

Shahzad Mughal Ajmi

nahin nahin hai mujhe etibar shishe par

Shahzad Mughal Ajmi

MORE BYShahzad Mughal Ajmi

    nahīñ nahīñ hai mujhe e'tibār shīshe par

    paḌā rahne do gard-o-ġhubār shīshe par

    rahā hai to ye aa.ina bhī letā

    nazar paḌegī mirī bār-bār shīshe par

    huā hai chuur to bikhrī paḌī hai ḳhāk-e-badan

    rakhā thā kis ne ye apnā mazār shīshe par

    muskurā ke agar dekh le use ik baar

    to lauT aa.egī phir se bahār shīshe par

    paḌe hoñ varta-e-hairat meñ shīsha-gar saare

    to naqsh aisā bhī koī ubhār shīshe par

    dikhā.ī is meñ diyā thā jo ‘aks-e-yār kabhī

    so aa rahā hai mujhe aaj pyaar shīshe par

    so kaT gayā naañ tirā haath bhī to jān-e-ġhazal

    kahā thā kis ne ki ġhussa utaar shīshe par

    dikhā.ī degā ye 'shahzād' ek din sab ko

    banā rahā huuñ dil-e-dāġh-dār shīshe par

    nahin nahin hai mujhe e'tibar shishe par

    paDa hi rahne do gard-o-ghubar shishe par

    tu ja raha hai to ye aaina bhi leta ja

    nazar paDegi meri bar-bar shishe par

    hua hai chur to bikhri paDi hai KHak-e-badan

    rakha tha kis ne ye apna mazar shishe par

    tu muskura ke agar dekh le use ek bar

    to lauT aaegi phir se bahaar shishe par

    paDe hon warta-e-hairat mein shisha-gar sare

    to naqsh aisa bhi koi ubhaar shishe par

    dikhai is mein diya tha jo ‘aks-e-yar kabhi

    so aa raha hai mujhe aaj pyar shishe par

    so kaT gaya nan tera hath bhi to jaan-e-ghazal

    kaha tha kis ne ki ghussa utar shishe par

    dikhai dega ye 'shahzad' ek din sab ko

    bana raha hun dil-e-dagh-dar shishe par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now