nai mohabbat se hamein hai na murawwat se gurez
nai mohabbat se hameñ hai na muravvat se gurez
'umr bhar ham ne kiyā sirf 'adāvat se gurez
sirf takmīl-e-havas 'ishq kā maqsūd nahīñ
ye mohabbat hai to phir aisī mohabbat se gurez
tere lahje meñ ḳhudā bol rahā thā be-shak
kaun kartā tire lafzoñ kī sadāqat se gurez
dostoñ ke liye ashkoñ ko kahāñ tak piite
ho ke majbūr kiyā ham ne sharāfat se gurez
us jafā-kār ke ġham meñ ye barastīñ kab tak
chashm-e-giryāñ ne kiyā ab to basārat se gurez
ye alag baat ki ik fāsla rakkhā ham ne
ham na kar paa.e magar us kī rifāqat se gurez
ye zarūrī hai ki jiddat meñ koī fikr bhī ho
zehn-e-tābinda kareñ ḳhuub rivāyat se gurez
koī ehsān na thā apnī ḳhudī ko manzūr
'umr bhar ham ne kiyā us kī 'ināyat se gurez
us gul-e-rā'nā ko īmāñ pe na dūñgā tarjīh
kyoñ karūñ us ke liye 'shams' 'ibādat se gurez
nai mohabbat se hamein hai na murawwat se gurez
'umr bhar hum ne kiya sirf 'adawat se gurez
sirf takmil-e-hawas 'ishq ka maqsud nahin
ye mohabbat hai to phir aisi mohabbat se gurez
tere lahje mein KHuda bol raha tha be-shak
kaun karta tere lafzon ki sadaqat se gurez
doston ke liye ashkon ko kahan tak pite
ho ke majbur kiya hum ne sharafat se gurez
us jafa-kar ke gham mein ye barastin kab tak
chashm-e-giryan ne kiya ab to basarat se gurez
ye alag baat ki ek fasla rakkha hum ne
hum na kar pae magar us ki rifaqat se gurez
ye zaruri hai ki jiddat mein koi fikr bhi ho
zehn-e-tabinda karen KHub riwayat se gurez
koi ehsan na tha apni KHudi ko manzur
'umr bhar hum ne kiya us ki 'inayat se gurez
us gul-e-ra'na ko iman pe na dunga tarjih
kyon karun us ke liye 'shams' 'ibaadat se gurez
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.